DISCLAIMER:
The beautiful work of art written below is (unfortunately) NOT my creation. I came across it on an orkut profile unknown to me and thought that every Patnaite (and even non-Patnaite) should read this !!!
..........Yaad aata hai wo patna,
Wo khetan market ka sama, patna market ki chat,
Wo candies ki ice cream, Wah usme thi kuch baat.
Wo cozy ki mithai, wo chanan ka dosa,
Wo chane ke saath litti aur saalimaar ka samosa.
Wo bike ka safar, wo boring road ki hawa,
Wo botanical garden ki raunak aur rajendra nagar ka sama.
Wo Gandhi maidan mein cricket aur harne pe jhagra,
Wo kankarbagh ke muhalle aur muhallon mein bhatakna,
Yaad aata hai wo patna.
Wo January ki kadake ki sardi, wo baarishon ke mahiney,
Wo garmi ke din, jab chhutate they paseeney.
Wo dusehre ki dhoom, wo chatth mein shradda,
Wo holi ki masti, wo doston ki toli,
log karte hain nakal humaree boli,
Wo diwali ke patakhe aur janmashtmi ki roli.
Wo sabji baug ki galiyan , wo chulbuli natkhat.
Wo rejent ki balcony aur wo ashoka ka sound,
Wo mere school ke dost aur unki jodiyan,
wo maurya mein baithna aur dakbangle pe police ka pakarna,
Yaad aata hai wo patna,
Yaad aata hai wo patna.
No comments:
Post a Comment